2 Line Shayri
Two Line Shayari
Read the latest collection of Two Line Shayari, 2 Line Shayari Sms and Short Shayari in Hindi. All these Heart Touching Two Line Shayari boasts many emotions in the heart with very few words. So read and feel the deep feelings of this poetry.
Girna Tha Jo Aapko Toh Sau Maqaam The,
Ye Kya Kiya Ke Nigaahon Se Gir Gaye.
गिरना था जो आपको तो सौ मक़ाम थे,
ये क्या किया कि निगाहों से गिर गए।
Agar Bikne Pe Aa Jao Toh Ghat Jate Hain Daam Aksar,
Na Bikne Ka Iraada Ho Toh Keemat Aur Barhti Hai.
अगर बिकने पे आ जाओ तो घट जाते हैं दाम अक्सर,
न बिकने का इरादा हो तो क़ीमत और बढ़ती है।
Hua Savera Toh Hum Unke Naam Tak Bhool Gaye,
Jo Bujh Gaye Raat Mein Charagon Ki Lau Barhate Huye.
हुआ सवेरा तो हम उनके नाम तक भूल गए
जो बुझ गए रात में चरागों की लौ बढ़ाते हुए।
Dil Se Dil Mile Ya Na Mile Haath Milaao,
Humko Ye Saleeka Bhi Badi Der Se Aaya.
दिल से दिल मिले या न मिले हाथ मिलाओ,
हमको ये सलीका भी बड़ी देर से आया।
Comments